Door Reh Kar Naa Karo Baat Lyrics Amaanat (1970)

Published: | Updated:
Door Reh Kar Naa Karo Baat Lyrics from Amaanat (1970): The song is sung by Mohammed Rafi, composed by Ravi with lyrics written by Sahir Ludhianvi and it features Manoj Kumar, Sadhna, Balraj Sahani, Mahmood, and Shashikala.

Door Reh Kar Naa Karo Baat Lyrics

Door reh kar na karo baat
Kareeb aa jaao
Door reh kar na karo baat
Kareeb aa jaao

Yaad reh jaayegi ye raat
Kareeb aa jaao
Ek muddat se tamanna thi
Tumhe chhoone ki
Ek muddat se tamanna thi
Tumhe chhoone ki

Aaj bas mein nahi jazbaat
Kareeb aa jaao
Aaj bas mein nahi jazbaat
Kareeb aa jaao
Door reh kar na karo baat
Kareeb aa jaao

Sard jhonko se bhadakte hain
Badan mein shole
Sard jhonko se bhadakte hain
Badan mein shole

Jaan le legi ye barsaat
Kareeb aa jaao
Jaan le legi ye barsaat
Kareeb aa jaao
Door reh kar na karo baat
Kareeb aa jaao

Is kadar hum se jhijhakne ki
Zaroorat kya hai
Is kadar hum se jhijhakne ki
Zaroorat kya hai

Zindagi bhar ka hai ab saath
Kareeb aa jaao
Zindagi bhar ka hai ab saath
Kareeb aa jaao

Yaad reh jaayegi ye raat
Kareeb aa jaao
Door reh kar na karo baat
Kareeb aa jaao

Written by:
Sahir Ludhianvi

Lyricsmint FAQs & Trivia

What movie the "Door Reh Kar Naa Karo Baat" song is from?

The song "Door Reh Kar Naa Karo Baat" is from the soundtrack album "Amaanat (1970)".

Who wrote the lyrics of "Door Reh Kar Naa Karo Baat" song?

Sahir Ludhianvi written the lyrics of "Door Reh Kar Naa Karo Baat". Sahir Ludhianvi is known for writing songs like Hum Intezaar Karenge, Socha Hai, and Chhoo Lene Do Nazuk Hothon Ko.

Who is the singer of "Door Reh Kar Naa Karo Baat" song?

Mohammed Rafi has sung the song "Door Reh Kar Naa Karo Baat". Mohammed Rafi is known for singing songs like Mehbooba, Jab Jab Bahar Aayi, and Hum Intezaar Karenge.