Baarish Lyrics

Published: | Updated:
Baarish Lyrics from Yaariyan: Tum Hi Ho composer Mithoon is back again with a beautiful romantic song which is sung by Mohammed Irfan. Baarish/Is Dard-e-Dil ki Sifarish lyrics are penned by Mithoon himself.

Baarish Lyrics

Yaariyan ve… Yaariyan
Yaariyan ve… yaariyan ve..
Yaariyaan… yaa….

Dil mera hai nasamajh kitna
Besabar ye bewkoof bada
Chahta hai kitna tujhe
Khud magar nahi jaan sakaa

Is dard-e-dil ki sifarish
Ab kar de koi yahaan
Ki mill jaaye isey woh baarish
Jo bhigaa de poori tarah (x2)

Yaariyan ve… Yaariyan…

Kya huaa asar tere saath reh kar naa jaane
Ki hosh mujhe naa raha
Lafz mere thhe zubaan pe aake ruke
Par ho na sake woh bayaan
Dhadkan tera hi naam jo le
Aankhein bhi paighaam ye de
Teri nazar ka hi ye asar hai
Mujh pe jo huaa

Is dard-e-dil ki sifaarish
Ab kar de koi yahaan
Ki mill jaaye isey woh baarish
Jo bhiga de poori tarah (x2)

Tu jo mila
Toh zindagi hai badli
Main poora naya ho gaya
Hai be-asar duniya ki baatein badi
Ab teri sunu main sadaa

Milne ko tujhse, bahaane karun
Tu muskuraaye, wajah main banun
Roz bitaana saath mein tere, saara din mera

Is dard-e-dil ki sifaarish
Ab kar de koi yahaan
Ki mill jaaye isey woh baarish
Jo bhiga de poori tarah (x4)

Written by:
Mithoon

Lyricsmint FAQs & Trivia

What movie the "Baarish" song is from?

The song "Baarish" is from the soundtrack album "Yaariyan".

Who wrote the lyrics of "Baarish" song?

Mithoon written the lyrics of "Baarish". Mithoon is known for writing songs like Meri Aashiqui, Banjaara, and Jaan Ban Gaye.

Who is the singer of "Baarish" song?

Mohammed Irfan and Gajendra Verma have sung the song "Baarish". Mohammed Irfan is known for singing songs like Banjaara, Baarish, and Phir Mohabbat.

Who directed Yaariyan?

Divya Khosla Kumar has directed the film Yaariyan.