Kya Chahiye Lyrics Usama Ali

Published: | Updated:
Kya Chahiye Lyrics (क्या चाहिए Lyrics in Hindi): The song is sung by Usama Ali and Ahad Khan, and has music by Raffey Anwar while Usama Ali and Ahad Khan have written the Kya Chahiye Lyrics. The music video of the Kya Chahiye song is directed by Mohtashim Farooqui.

Kya Chahiye Lyrics

Apno se rootha rootha 
Phirta hai toota toota
Ab waqt nahi hai saanwre

Apno se tu hai hara
Tu hai ek toota sitara
Ab bhi sab waheen hain 
Jaan le

Ek raja ek rani
Ek tu hai ek kahani
Mujhe tere siwa kya chahiye

Ek dard hai ek marham
Ek marz hai ek humdum
Mujhe dard ki dawa chahiye 

Wo aaya nahi jo mud sa gaya
Is aasman mein wo udd sa gaya 
Mujhe uske dil me jagah chahiye 

Ek raja ek rani
Ek tu hai ek kahani
Mujhe tere siwa kya chahiye

Kya chahiye 
Dil ko to teri panah chahiye
Chahe yahan ho chahe wahan ho 
Mujhe to wo hansta huwa chahiye 

Jisko pata bhi nhi hai 
Muhabbat me wo mubtala chahiye 
Wafayein le aao zamane ki par 
Mujhe wo bewafa chahiye

Is tarah chahiye
Ke jab wo mile to mujhe 
Zindagi ye saza na lage 
Shaam se subah hojaaye 
Par waqt ka kuch bhi pata na lage 

Par waqt abhi beeta hi kya hai 
Khushiyon se seekha hi kya hai 
Jeeta hai mene zamaana aur 
Haara tujhe hai to jeeta hi kya hai 

Aesa bhi ho sakta hai 
Hum raahon pe mar jaayen 
Aur phir hum ghar pohanche hi na
Wo royen hamare liye aur 
Kahein k kash usse khote hi na 
Tum is tarah paas the 
Mere is se to acha tum hote hi na 
Behtar hi hoga hum apne 
Us maazi ke baare me sochein hi na 

Ab bhoole hain apnay hum waaday
Qisse wo saare wafa ke 
Dil pe lage hain zakham 
To mujhe nhi kaam aate dilaase 
Tu ne jo chaha bura to tune 
Bhi jaan-e-jaan acha kya hai 
Dil ko ab samjhaaye kon ye 
Naadan hai ye smjhta hi kya hai 

In baaton me rkha hi kya hai
Ek kamra hai aur kuch kitaben 
Aur ab un kitaabon me rakha hi kya hai
Kuch lafz hain tere liye 
Ek phool jo lgta hai murjha gaya hai
Ab lgta hai ghar aagya hai 
Bicharne ka jaan-e-jaan dil to nahi hai 
Par jaane ka lagta hai waqt aa gaya hai 

Waqt to ye sab kha gaya hai 
Safar jab mukhtasir hai to phir 
Jism kyun mera ye thak sa gaya hai
Kahani ko qissa kaha hai 
Jawani mein dil kho gaya hai 
Hasil hai sab kuch par tu jo nhi toh 
Lagta hai sab kho gaya hai (sab kho gaya hai)

Ek raja ek rani
Ek tu hai ek kahani
Mujhe tere siwa kya chahiye

Ek dard hai ek marham
Ek marz hai ek humdum
Mujhe dard ki dawa chahiye

Written by:
Usama Ali and Ahad Khan

Lyricsmint FAQs & Trivia

Who wrote the lyrics of "Kya Chahiye" song?

Usama Ali and Ahad Khan have written the lyrics of "Kya Chahiye". Usama Ali is known for writing songs like Kya Chahiye, Shikayat, and Aaja Mahi.

Who is the singer of "Kya Chahiye" song?

Usama Ali and Ahad Khan have sung the song "Kya Chahiye". Usama Ali is known for singing songs like Kya Chahiye, Shikayat, and Aaja Mahi.

Who directed "Kya Chahiye" music video?

Mohtashim Farooqui has directed the music video of "Kya Chahiye".