Motumaster Lyrics
Iski maa.. (bhai kiski maa)
Iski maa agar isey…
Pet mein hi maar deti (maar deti..)
Toh Bihar mein aakaal na hota
(arey bhai akaal na hota)
Orissa mein, Orissa mein baad na hoti
(Baad na hoti)
Maa perplex thi (perplex thi)
Baap complex tha (complex tha), complex tha?
Arey radio ke zamaane ka,
Yeh pehla multiplex tha (multiplex tha)
Paida hua yeh jis din paida hua
Paida hua yeh jis din paida hua
Iss ke baap ne gaaon mein ladoo batwaya
Iss ke baap ne gaaon mein ladoo batwaya
Woh aakhri din tha jab
Iske gaon mein kisi ne kuch khaya
(kisi ne kuch khaya, kisi ne kuch khaya)
Paida karte iski maa jo zor se chilai
Leke Ashok Chakra sarkar daudi daudi aayi
Doctor ne baap ko side mein le jaake daanta
Doctor ne baap ko side mein le ke jaake daanta
Bola kahan se layi yeh gastronomical jwarbhata
Bola kahan se layi yeh gastronomical jwarbhata
Darzi ne bola inchi-tape apne bagal mein chaape
Darzi ne bola inchi-tape apne bagal mein chaape
Kamar toh naapte magar hum kamra kaise naape
Kamar toh naapte magar hum kamra kaise naape
Ho pathar ke paalne mein jab yeh leta rota tha
Ho pathar ke paalne mein jab yeh leta rota tha
Sara gaaon iske baap ke aasuon se bartan dhota tha
Bartan bartan bartan dhota tha…
Gussey mein isska baap (oho)
Parliament gaya (aaha)
Bola nirodh kyun, late invent kiya (oho..)
Invent kiya.. Invent kiya.. Invent kiya..
Invent Invent Invent kiya..
(Anurag Kashyap)
Har baal ki khaal ki yeh chaal bhi kha jaaye
Iske haath padh jaaye toh mahine saal bhi kha jaye
Kisi behal ka bacha jo haal bhi haal kha jaaye
Bemaut marte mann ka yeh malaal kha jaaye
Lalu ka laal kha jaaye
Naxal-baari ki naal kha jaaye
Bachpan ka dhamaal kha jaaye
Budhape ki shaal kha jaye
Hayaa toh chodo behaya ki chaal bhi kha jaaye
Agar parosa ja sake toh khayal bhi kha jaaye
(butter chiken, butter chiken ..)
Ho ladoo gopal hai poora chopal hai
Khada toki tarsi baitha Bhopal hai
Baitha Bhopal hai bhai baitha Bhopal hai
Bhopal Bhopal baitha Bhopal hai
Iski jo baat hai khan saabo ko daad hai
Baap murdabad beta Muradabad hai
Iski jo baat hai khan saabo ko daad hai
baap murdabad beta muradabad hai
Baap murdabad beta muradabad hai
Hey iski jo dakaar hai bhopu bhi bekar hai
Gud gud iske pet ki, pait ki sarkar hai
Vote do bhai vote do, poora hi phod do
Iska jo size hai iski maa ka pyaar hai
Hajam kiya iss ne apne baap ka karobar hai
(baap ka karobaar apne baap ka karobar hai)
Chirken ka muse hai par ya varan hi lose hai
Udne na dena isse dooms day ka fuse hai
(dooms day ka fuse hai, bhai dooms day ka fuse, doom
Dooms day ka fuse dooms day ka fuse hai)
Khachua bhi isse faster, motumaster
Gas ka plaster, motumaster
Hai naak bandh phaatkar, motumaster
Chhod baant baant kar, motumaster
Yeh motumaster hai total disaster
Total diaster hai motumaster
Motumaster chal daaru paas kar
Chup be, bastard!
Written by:
"Motumaster" Song Info
Singer | Raman Mahadevan, Amit Trivedi, Shriram Iyer, Amitabh Bhattacharya, Kshitij Wagh, Anurag Kashyap, Bonnie Chakravarthy, Tochi Raina |
Album | Udaan |
Lyricist | Amitabh Bhattacharya |
Music | Amit Trivedi |
Cast | Rajat Barmecha, Ronit Roy, Ram Kapoor |
Language | Hindi |
TOP 10 Songs - Lyricsmint Recommends
Lyricsmint FAQs & Trivia
What movie the "Motumaster" song is from?
The song "Motumaster" is from the soundtrack album "Udaan".
Who wrote the lyrics of "Motumaster" song?
Amitabh Bhattacharya written the lyrics of "Motumaster". Amitabh Bhattacharya is known for writing songs like Ae Dil Hai Mushkil (Title Song), Kalank (Title Track), and Namo Namo.
Who is the singer of "Motumaster" song?
Raman Mahadevan, Amit Trivedi, Shriram Iyer, Amitabh Bhattacharya, Kshitij Wagh, Anurag Kashyap, Bonnie Chakravarthy, and Tochi Raina have sung the song "Motumaster". Raman Mahadevan is known for singing songs like Chandu Ki Girl Friend, Motumaster, and Mauka.