Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Lyrics

Published: | Updated:
Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Lyrics (अवध में लौटे है श्री राम Lyrics in Hindi): The song is sung by Sonu Nigam, and has music by Shreyas Puranik while Ashutosh Agnihotri has written the Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Lyrics..

Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Lyrics

Ram ram jai jai shree ram
Ram ram jai jai shree ram
Ram ram jai jai shree ram
Ram ram jai jai shree ram

Lamba tha vanvas ram ka
Lekin yeh vishwas ram ka
Sach ki tap ki jay hoti hai

Dharya tapa mann hi moti hai
Aati hai badhayein aayein
Jitna roke aur darayein

Jisne vrat sankalp liya hai
Aandhi mein bhi jala diya hai
Jag kar door kare andhiyara
Har chhal har shadyantra hai haara
Achhai sachai jeete ki

Ghar ghar deep jale har shaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Bane hai sabke bigde kaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Ram ram jai jai shree ram
Ram ram jai jai shree ram
Ram ram jai jai shree ram
Ram ram jai jai shree ram

Van van ghoom desh ko baandha
Deen dukhi ko de kar kaandha
Tap se shath abhimaan mitakar
Sita ko samman dila kar

Jameen shila ko shraap mukt kar
Kitne patthar praan yukt kar
Setu bandhkar lakshya saadh kar
Yudh jeet kar paap naash kar

Ho poora karke vachan pita ka
Lehra karke vijay pataka
Wapas aaye apni nagri

Saja hai poora raghuvar dhaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Bane hai sabke bigde kaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Kewat ki bhi nauka taari
Sabri ki jhoothan svikaari
Jo jiska hai use dila kar
Shiv mein milkar ban rameshwar

Aaj hriday anand bhara hai
Pulkit amber aur dhara hai
Dashon dishayein sur mein gaati
Swagat mein aatur harshati

Baahein khol khadi hai maayein
Aanjneya bhi saath hai aaye
Prabhu ka ho aisa abhishek ki

Unka raj rahe aviram
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Bane hai sabke bigde kaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Ram ram jai jai shree ram
Ram ram jai jai shree ram
Jai ram shree ram
Jai ram shree ram

Ram ram jai jai shree ram
Ram ram jai jai shree ram
Jai ram shree ram

Written by:
Ashutosh Agnihotri

Lyricsmint FAQs & Trivia

Who wrote the lyrics of "Avadh Mein Laute Hai Shri Ram" song?

Ashutosh Agnihotri has written the lyrics of "Avadh Mein Laute Hai Shri Ram".

Who is the singer of "Avadh Mein Laute Hai Shri Ram" song?

Sonu Nigam has sung the song "Avadh Mein Laute Hai Shri Ram". Sonu Nigam is known for singing songs like Abhi Mujh Mein Kahin, Kill Dil (Title Song), and Kal Ho Naa Ho.