Dil Lagana Mana Tha Lyrics Krish

Published: | Updated:
Dil Lagana Mana Tha Lyrics (दिल लगाना मना था Lyrics in Hindi): The song is sung by Krish and Kishore Mondal, and has music by Durgaram Choudhary and Devv Sadaana while Kunaal Vermaa has written the Dil Lagana Mana Tha Lyrics. The music video of the Dil Lagana Mana Tha song is directed by Honey , and it features Sanam Johar and Ashi Singh.

Dil Lagana Mana Tha Lyrics

Select any lyrics text to create a shareable image!

Zamaane ki taraah
Hum bhi tode hain gaye
Aise tanha to na the 
Tanha chhode hain gaye

Na dil se wo yaadein jaayein
Na raaton ko neendein aayein
Aate hain phir khwab kyu
Aate hain kyu khwaab

Jo thi tere ishq mein doobi
Un ankhon mein tum le aaye
Aansu behisaab kyu, aansu behisaab

Khair hai yaaron kam se kam
Jaan se jaa na paaye hum
Khair hai yaaron kam se kam
Jaan se jaa na paaye hum
Inkaar ke bahaane kayi baar karte karte

Humne wahin lagaya dil
Jahaan dil lagana mana tha
Aakhir wahin kiye sajde jahan
Sar jhukana mana tha

Kyun zindagi bita di jahaan pe
Ik pal bitaana mana tha
Kyun us gali mein rehte thhe hum
Jahaan roz jaana mana tha

Zamaane ki taraah
Hum bhi tode hain gaye
Aise tanha to na the 
Tanha chhode hain gaye

Jo duaayein dete thhe
Haan usi ke hothon se
Aise waise lafz bhi
Humse bole hain gaye

Baitho kisi roz tanhai mein
Rakho saamne wakt ke aaine
Jo aayega chehra nazar wo kahin
Tumhe bewafa kehke has na pade

Tujhe dil diya istemaal huye
Hai tujhmein bhi dil ye khayaal rahe
Tujhe dil diya istemaal huye
Hai tujhmein bhi dil ye khayaal rahe

Humne jalaaya dil jahaan diye bhi jalaana mana tha
Kar baithe yaad vo chehra jisko bhulaana mana tha
Hum aazmaye gaye magar unhe aazmana mana tha
Humne wahin lagaya dil jahan dil lagana mana tha

Zamaane ki taraah
Hum bhi tode hain gaye
Aise tanha to na the 
Tanha chode hain gaye

Jo duaayein dete the
Haan usi ke hothon se
Aise waise lafz bhi
Humse bole hain gaye

Written by:
Kunaal Vermaa

Lyricsmint FAQs & Trivia

Who wrote the lyrics of "Dil Lagana Mana Tha" song?

Kunaal Vermaa has written the lyrics of "Dil Lagana Mana Tha". Kunaal Vermaa is known for writing songs like Hasi (Male Version), Hasi (Female), and Tum Hi Aana.

Who is the singer of "Dil Lagana Mana Tha" song?

Krish and Kishore Mondal have sung the song "Dil Lagana Mana Tha".

Who directed "Dil Lagana Mana Tha" music video?

Honey has directed the music video of "Dil Lagana Mana Tha".

Who has featured in the music video?

The music video of "Dil Lagana Mana Tha" features Sanam Johar and Ashi Singh.