Manzil Lyrics Jatt Prabhjot

Published: | Updated:
Manzil Lyrics: The song is sung by Jatt Prabhjot and Gurvansh Gujral, and has music by Blurface while Gurvansh Gujral has written the Manzil Lyrics. , and it features Jatt Prabhjot and Gurvansh Gujral.

Manzil Lyrics

Jude zameen se aasmaan pe rakhe pair
Pahle teri mehnat phir hoti rab di mehar
Lekeer ka fakeer ban ne ka tha na shauk
Tabhi to ban paya aap sabka jatt prabhjot

To good morning friends
Sat sri akal namaste
Badon ko pairi pauna chhoton ko hello

Umar 10 tera bhai tass se mass
Khel kood maze loot
Aur padhne mein tha main mast
Shauk the do ghoomna phirna aur padhai
Par papa ki aankhon se dikhta na thi utni kamayi
Jo le jaaye mujhe baahar dilaye kapde
Main paagal sa bachcha lagta tha unse jhagadne

Pyar karne se zyada papa majboor thhe
Tabhi to dost yaar mere mujhse door thhe
Purane mere kapde purane joote
Purani yeh kitabein woh haste thhe mere muh pe
Kyun be ismein meri kya hai galti
Par jald hi main seekh gaya majboori bhi ek galti

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tujhe seekhna hai

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jee huna sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tujhe seekhna hai tujhe jeetna hai

Kuch hi samay nave kaam pe main jaane laga
Umar thi 12, 22 ki soch ko laane laga
Kam thoda khaane laga aansu ko dabaane laga
Apne se bhaari vajan main uthane laga

Padhne ka shauk kaam karne ki majboori thi
Raat raat bhar padhai se kamzor aankhein ho rahi thi
Meri umar mein laundon ke toot te dil
Yahan meri aankhon ke saamne meri dukaan toot rahi thi

Woh bhi tha samay room ek rehte log 5
Wahin tha khaana peena wahin bani apni dukaan
Kayi baar socha ki le leta hun apni jaan
Par imaan bola papa ki baat ka banega kaun shaan

Zaruratein poori ho na ho
Par meri fees bhari jaati thi
Meri maa ki aankhon mein woh ek tasveer
Mujhe hamesha dikhlaati thi
Ke mujhe hona kaamyaab
Karna kanyadaan meri chhoti behan
Meri jaan mera samman
Mere ghar ki khushiyon ko wapas deni jaan seedhi baat
Waapas lana apna aatmsamman

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tujhe seekhna hai

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tujhe seekhna hai tujhe jeetna hai

Poori padhai kiya thi naukri ki talaash
Saal bhar ghoome baby ban na payi koyi baat
4000 koyi deta 5000
Is se jyada dukaan pe mere chhotu ki thi pagaar

Kaam pakde jo bhi mujhe takkre na thhe koyi nakhre
Kyun ki saaf mere sapne sath mere apne
Sath kiya kaam sath faila naam
Aaj bhi thok ke salaam apne bhaiyon ko
Jinhone diya sath jinhone mere bure waqt mein bataya hath
Yeh zamana hath kaatne walon ka
Jaat-paat mein baatne walon mein se
Na tha koyi mera yaar

Dhool vi chatt layin duniya vi takk layin
Koyi kise da yaar nahin jadd hundi ae takleef
Yaar pra vi nakli eh gall ch koyi shaq nahin
Paalo tussi kutta par paalo kade saanp nahin

Poori zaruratein ab ho rahi thi
Meri maa bhi ab sukoon se so rahi thi
Par mere andar ka jwala tha mujhe jo sata raha tha
Us se meri neendein ab kho rahi thi

Kaam kar raha hoon ghar bhi theek hai
Yaar dost kehte toone paa li jeet hai
Par aata mujhe rona yeh kaisa mera naseeb
Kaamyaabi ke baad bhi mujhe mili na koyi jeet hai

Dum mera ghut raha maa mujhe poochti
Raaton ko mujhe neend nahin kaam mein aati
Sushti santushti nahin hai
Kisi bhi baat ki mujhe khushi kyun nahin hai
Chardiwari ko chhod karna aasmaan ki sawari
Maine soch liya yeh kaam mere bas ka nahin hai

Zindagi jeeni hai ik baar jee shaan se
Manzil hai door par lagaam tere hath mein hai
Zinda hai tu kyun ki khuda tere sath mein hai
Na dar tere kala tere hath mein hai

Kaamyaab banda kaam ke baad bhi khush nahin hai
To woh kaamyaab hi nahin hai
Iklauti zindagi ko ro kar jeena
Achhi baat to nahin hai

Job se off lekar savings ko tod diya
Karna explore mujhe yeh hai maine thaan liya
Ghar walon ne bhi mujhe poora support kiya
Soch liya gaadi maine laddakh ko mod liya

Lagaya go pro jaane laga slow slow
Leta raha photo ab leta raha slowmo
Dekha maine jo jo main chahta sab kuchh mera ho
Main chahta har koyi dekhe tabhi banaya pehla video

Start to end maine poora record kiya
Ghar aake dekha edit kiya phir upload kiya
Sach bataun woh pehla zindagi ka din thha
Jab har ek lamha maine poori khushi se jiya

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tujhe seekhna hai

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tujhe seekhna hai tujhe jeetna hai

Back to square one one on one
Shuru huyi jung jo thhi meri khud se
Kamaun thoda kam par karun kaam
Jismein lage mann yeh maine thaan liya man se

Back to back phir video banane laga
Chhutti to milni nahin thhi salary katwane laga
Daant bhi khaane laga par baat nahin koyi
Dilli manali mussoorie to ghoomne mila

Dekh dekh views badhne lage
Log mere naam se mujhe jaan ne lage
Road pe rok ke mujhe bulane lage
Phir ek din hua kuchh aisa
Meri aankhon se aansu na ruke

Paa li jeet bhale aa jaaye maut ab
Hua kaamyaab na bacha kisi ka khauf ab
Shohrat paa li maine daulat paa li
Papa ki chhaati chaudi ke saame tikega kaun ab

Record kiya fastest growing youth
Youtuber ki lagi bet time hua mujhe aaye 2 saal
2 saal mein tera bhai 1 million paar

Diya shot maine short notice mein
Aane lage notice mein tere bhai ke kisse
Load kare shot kare video mein gaur kare
Mere liye comments mein logon ki maa-behn kare
Mere fans ne diya bahut pyar
Haters ne mere liya rakha mangalwar
Samachaar aaya jatt prabhjot ko mila pyar
Tabhi to ktm se seedha leli bmw car

Bana blogger na kisi ka naukar
Din mein kaam khud ka shaam mein hoon shopper
Hip hopper bhai mere sath
Gurvansh gujral gol maare jaise soccer

Plan tha foolproof na khela main gambling
Tumhare liye tough jaise carry of gavin
Off road zindagi mein smooth rakhi handling
Tumhein laga shot put maine javelin

Subscribe karein dislike ke liye
Face hide karein meri ek bite ke liye
Lakhon mein views har video ko aate
Haters ka aabhari main iss hype ke liye

Door se dekh kar murjhane wale log aaj
Door door se aate mujhe milne
Purani tasveerein inbox mein bhej kar
Aate banane nave nave rishte

Jo na karte the follow
Aaj tweet karte hain mere baare mein
Waise to manzil hai bahut door
Par kayi log humein ginte sitaaron mein

Tumhare saamne hai aaj mera kal
Na yeh chamatkaar bas mehnat ka phal
Aap sabhi ke pyar se haters gaye jal
Aur main seekh gaya zindagi ka jeena har pal

Haan manzil bahut door hai
Par yeh mukaam mere liye kisi jeet se kam nahin
Bure samay ko sahi banana hamare hath mein hota hai
Bas sachche man se mehnat karte jao
Aur pyar failate jao isiliye main yeh kehta hoon

Dua bani dawa jahan kabhi socha na tha
Wahan aaj hun khada
Jo na jaante the woh bhi aaj hai mere gawah
Mata pita aur chahne walon ka dil se shukriya !

Written by:
Gurvansh Gujral

Lyricsmint FAQs & Trivia

Who wrote the lyrics of "Manzil" song?

Gurvansh Gujral has written the lyrics of "Manzil".

Who is the singer of "Manzil" song?

Jatt Prabhjot and Gurvansh Gujral have sung the song "Manzil".

Who has featured in the music video?

The music video of "Manzil" features Jatt Prabhjot and Gurvansh Gujral.