Jhoot Lyrics Harmeeet

Published: | Updated:
Jhoot Lyrics (झूठ Lyrics in Hindi): The song is sung by Harmeeet, and has music by Aditya Pushkarna while Harmeeet has written the Jhoot Lyrics..

Jhoot Lyrics

Select any lyrics text to create a shareable image!

Main aadaton ka maara 
Phir bahaana de gaya
Mera laakhon wala gaana 
Phir se aadha reh gaya

Main befikriyon mein 
Aisa baitha reh gaya
Makaan saara lutt gaya 
Aur khaali taala reh gaya

Main aadaton ka maara 
Phir bahaana de gaya
Mera laakhon wala gaana 
Phir se aadha reh gaya

Main befikriyon mein 
Aisa baitha reh gaya
Makaan saara lutt gaya 
Aur khaali taala reh gaya

Phir se jhoot keh doonga 
Ki mere bas ka nahi tha
Ya jab loota gaya ghar 
Tab main ghar pe nahi tha
But you know sach toh yahi tha
Ki main ghar pe hi tha
Aur sab kuch bas mein bhi tha
Bas mera mann sa nahi tha

Mujhe woh ghar hi nahi pasand
Ghar ki woh ghadi nahi pasand
Ghadi ki chhoti sui dheemi
Mujhko badi nahi pasand

Zindagi abhi nahi pasand
Mujhko tab thi nahi pasand
Aur aane wali zindagi ki
Maine rakhi nahi khabar

Itna bekhabar
Ke akhbaron mein aag lag gayi
Aur ek toh bewajah hi ghar walon ki
Aas lag gayi
Aur chinta toh mujhe bhi thi aane wale kal ki
Par jab pait bhar gaya toh meri aankh lag gayi

Aur jaag...
Jaagne mein der ho gayi kaafi
Phir socha der se shuru karne se hoga kya hi
Phir se maan lunga ki mere haq ka nahi tha
Phir se jhoot keh dunga ki mere bas ka nahi tha

Toh apne aalas ko chhupaane ke liye tu jhoot bolega?!
Haan.. Jhoot mein kya buraai hai?
Kya buraai? Yeh kisi sacche aadmi se poochh.
Hmm, saccha aadmi? Tujhe nahi pata kya?
Kya?!

Ke..
Duniya mein utne hi sacche jitne hain jhoote acche
Jhooti kasmon se jaanein jaayeingi, khao kasamein
Jhoot bole kauwa kaate toh kam se kam mere
Jhoot kehne se kauwa na bhookha soye jag mein

Likhna seekha toh socha kisi ko sikha bhi doon
Dekha khwaab toh socha kisi ko dikha bhi doon
Aur aisa na ki maine likha kabhi sach nahi
Par sach likha phir socha ki sach ko mita hi doon

Kyunki sachhi baatein kam hi log hi samjhein
Jaise yeh gaana jhoot par
Par ek ek baatein sach hain
Mujhe bhi zyaada kuch parhez toh na bheegne se
Par kam se kam yeh baadal ek ek karke barsein phir

Yeh khwaab saara aadha reh gaya
Main Hans ke hi utha, bheega sirhana reh gaya
Aur sach...
Iss saal sab kuch paane wala tha main lekin

Main aadaton ka maara 
Phir bahaana de gaya
Mera laakhon wala gaana 
Phir se aadha reh gaya

Main befikriyon mein 
Aisa baitha reh gaya
Makaan saara lutt gaya 
Aur khaali taala reh gaya

Main aadaton ka maara 
Phir bahaana de gaya
Mera laakhon wala gaana 
Phir se aadha reh gaya

Main befikriyon mein 
Aisa baitha reh gaya
Makaan saara lutt gaya 
Aur khaali taala reh gaya

Written by:
Harmeeet

Lyricsmint FAQs & Trivia

Who wrote the lyrics of "Jhoot" song?

Harmeeet has written the lyrics of "Jhoot".

Who is the singer of "Jhoot" song?

Harmeeet has sung the song "Jhoot".