Cigarette Lyrics Farhan Khan

Published: | Updated:
Cigarette Lyrics (सिगरेट Lyrics in Hindi): The song is sung by Farhan Khan, and has music by Mr Doss while Farhan Khan has written the Cigarette Lyrics. The music video of the Cigarette song is directed by Sujit Rao, Tejas Bane, and Farhan Khan.

Cigarette Lyrics

Seene se saansein na nikle
Pahuncha de dhuan taaki nikle wo bahar
Dhuen se sab kar dete dhundhla
Hai dar, na wo padh le ye chehre ka haal

Na lagti ab bhook par kha lete khaana
Bahana hai peene ka khaane ke baad
Ham marte har waqt
Bas peene ke waqt ham thoda sa jee lete sahab

Wo kehte "Mohabbat wahi jisme aashiq bichad jaate
Rehte na saath"
Aur meri mohabbat ka haal ki 
Hothon se choote hi ho jaati raakh

Maachis ki tili ko chu lu to 
Jal jaati ho jaati mujhse naraaz
Phir chum ke samjhata mar jaata kab ka
Par teri talab to bacha li hai saans

Ab mujhko bas tera hai saath
Bewafa tu bhi na ban jaana yaar
Maana ki jab bhi ham milte 
Main choota hun tujhko
Par pakeezah hai mera pyaar

Haan tujhse hi milta sukoon
Warna khatam hoti kaise ye raat?
Kaise bhulata mein laila ko
Jab tak bulati na tere tu mujhko yun paas

Ab mere kameezon se tere badan ki
Ye khushboo na ghar ko pasand
Par kaise bataun ki ungli ko tu na pakadti
To chal paate hargiz na ham

Haan kaise nikalte ham khud ke khayaalon se
Phas jaate mar jaate hum
Jo tu na chamakti andheron mein jal ke
To khud ke hi saayon se dar jaate ham

Toh hona nai mujhse yun door
Tere liye todi hain saari hai kasmein
Maara hai laila ne
Par le leta saans jab leta hun kash main

Laila thi bas khaali dil mein
Tu mere khoon me tu meri nass mein
Kehte hain marne ke baad bhi zindagi
Hona dafan saath meri qabar mein

Dhuein ke bana ke baadal
So rahe lapete baadalon ki chaadar
Jala rahe khud ko ho chuke hain paagal
Ab zindagi hai cigarette (cigarette)

Dhuein ke bana ke baadal
So rahe lapete baadalon ki chaadar
Jala rahe hai khud ko ho chuke hain paagal
Ab zindagi hai cigarette

Padhta hai chup-chup ke milna
"Ye rishte na-jaayiz hai" kehte hain log
Kehte ki majnu ko patthar padhe hain akkal pe 
Khareede ye paiso se maut

Par kaise khareede mohabbat ko koi?
Paise nahi yahan nazraana dost
To laila ke jaate hi mar gaya majnu
Mein jal raha mujh ko tu parwana bol

Aur dhuan ye saanson ki maala hai
Sambhalu ki haathon se chute na
Main pal mein bikhar jaunga
Toh darr hai ki maala ye galti se toote na

Jo tootegi maala agar
To marne ke baad khuda mujhse puchega
"Bande bata teri kya hai raza?"
Mein hans ke kahunga "Ye banda bas phookega"

Na jannati chahta libaas
Na hoorein, na peena mein chahta sharaab
Hai nafrat sharaab se
Behkati mujhko le jaati hai 
Laila ki galliyon ke paas

To khaali hai dhuan
Ye aisa hai rakhta daba ke jo seene mein raaz
Warna ye kambakht paimana aisa
Ki jhoota bana de ye peene ke baad

Aur chhod do mere tum haal pe
Koi na aake bhi mujhko salah do
Jo itni hai meri fikar
To aa ke khali mera sutta jala do

Woh bahut hai mere liye
Ye zindagi maut hai mere liye
Na maut ka darr bas jo bachi saansein 
Woh saansein bhi jodh li tere liye

Toh hona nai mujhse yun door
Tere liye todi hain saari hai kasmein
Maara hai laila ne
Par le leta saans jab leta hun kashmein

Laila thi bas khaali dil mein
Tu mere khoon me tu meri nass mein
Kehte hain marne ke baad bhi zindagi
Hona dafan saath meri qabar mein

Dhuein ke bana ke baadal
So rahe lapete baadalon ki chaadar
Jala rahe khud ko ho chuke hain paagal
Ab zindagi hai cigarette 

Dhuein ke bana ke baadal
So rahe lapete baadalon ki chaadar
Jala rahe khud ko ho chuke hain paagal
Ab zindagi hai cigarette 

Dhuein ke bana ke baadal
So rahe lapete baadalon ki chaadar
Jala rahe khud ko ho chuke hain paagal
Ab zindagi hai cigarette

Written by:
Farhan Khan

Lyricsmint FAQs & Trivia

Who wrote the lyrics of "Cigarette" song?

Farhan Khan has written the lyrics of "Cigarette".

Who is the singer of "Cigarette" song?

Farhan Khan has sung the song "Cigarette".

Who directed "Cigarette" music video?

Sujit Rao, Tejas Bane, Farhan Khan has directed the music video of "Cigarette".