Jung Wung Lyrics
[Talha Anjum]
Jung se pehle baat kare pichli jung ki
65 ki ya 71 ki
Mere bhai main nahi dene aaya dhamki
Main baat kar raha hak ki
Yeh baat mere dhang ki
Hum dono ko mein
Sarhado se bati hui
Hum dono ki ek dusre pe hati hui
Aur ye sikhata kaun media
Sh*t I'm trying to use my music
As a medium
Ke shaayad log soch ko aazad karein
Civilize tareeke se bethe baat kare
Majhab nahi insaniyat pe insaaf karein
Is gann pale se apne dil dimag saaf kare
Aur bhi toh pome hai is duniya mein
Woh aise kyu nahi ladti
Jaise ladte tum aur main
Subah se dekh raha hoon main internet pe war memes
Kya tumhe zara sa andaza hai what war means
War means yateem ya miskeen
War means.. get off the dream
Tera fauji ya phir mera bro
Maa sabki hoti hai
Rishte naate ki koi sarhad
Maaye sabki roti hai
Lekin rajneeti ke aage
Ye baatein choti lage
Aur nafrat ki nazar se
Sach baat bhi jhooti lage
Aur hum chaahe to ye jung
Kab ki muka de
Lekin hum chaahte hain ki
Aman ko ek mauka dein
Yeh jung wung chhod bantai
Nafrat ki zanjeerein tod mere bhai
Badhna aage hai humein
Sitaron se aage hai jahaan aur bantai (x2)
[Chen-K]
Ek hi mitti ka rang ae ki khoon ye
Jung mein bhi ek jaisa junoon hai
Masle bhi hoobahoo ye kanoon ke
Idhar Zainab udhar Asifa ka noor hai
Aur jitni bhi kaum dono yeh modern
Sagi behan ko ghoorein bhai dabe ye foran
Ladaiyon ke baad bhi ghar mein raunak
Chhupe galiyon mein baap ke pyaar ke 9 rang
Gaur kar bhai ek jaise taur tareeke
Phir majority kyun ek doosre pe bhonkti hai
Talha tu thik hai media ki monopoly
Om Puri ka qaatil Arnab Goswami hai
Gussa bimaari hai
Gussa thukna hoga mulk ki khatir ye
Kyunki jab bhi Pak ya Hind gaali dein
Hathyar bike America China ke
Phir cheekhein maayein bete ki kabron pe
Kaarobar chalein par dikhe khadde sadako pe
Nafratein failayein logon mein kamaaye
Brigadier wagerah yeh soyein bistaron pe
Socho tum maa ke baazuo mein soye ho
Do secondo mein faad dein chhat hawa se drone
Utho to maa ka baazu pada kahin aur ho
Jihaad chhodo maaroge nahi maa ke qaatilon ko
Aatankwaadiyo ka mulk bole sunke kahani
Sabut nahi maujood kyunki bas Pakistani
Fir hudus ki wajah se Africa bhi aatankwaadi
Fir Yahudiyo ke liye Germany aatankwaadi
Peshawar mein laashe 132 thi ji
--- ho ya Pulwama district
Ikka ka barah din baad ka na behis
Phir gaaliya doon par
Zameer bole hargiz nahi
Ye jung wung chhod bantai
Yeh jung wung chhod bantai
Nafrat ki zanjeerein tod mere bhai
Badhna aage hai humein
Sitaron se aage hai jahaan aur bantai (x2)
[Talha Yunus]
Jung jung jung jung toh hum roz lade
Kyunki bache aaj bhi sadko pe bhookhe marein
Sukhe pade shakho se jhade patte
Inn baahon mein qatil kab se hamlo ki boli ratke
Phir bhi bhatke
Divide and rule kyun sazishein badhi batke
Soch zara hatke
Main muttasir un bacho se
Jo sadko pe bina ghar ke nithariye nai darte
Roz rozi ke liye koi ek nahi hazaron junge ladte
Koi bhi majhab nahi insaniyat se badke
Hai farak bahut hai farak bahut
Yeh galat bahot
Yeh baatein kadak bahot
Kyuki ye sirf sadak talk
Tere bhi do kaan do hath
Do per, do aankhe, ek naak
Kyu nahi taarikh yaad
Ye sab goron ka khel
Yaar ankhe khol yaar
Sacchai aur jhooth ek
Tarazu mein na tol yaar
Ab bol yaar
Kya kusoor un masoomon ka
Jinke dilon mein
Ab khauf bhara jung ka
Internet pe lade janta
Sab media ka agenda
Magar aaj ye log lahrayenge
Do mulkon ka jhanda
Gehare samandar
Kale badal panchi gayab
Kashmir ahl-e-nazar
Aur main uska saahil
To kyu ye padhe likhe jaahil
Battein kare nile
Dilo mein bhara zehar
Aur mawaako pe jaahir
Written by:
, , and
"Jung Wung" Song Info
Singer | Chen-K, Talha Anjum, Talhah Yunus |
Lyricist | Chen-K, Talha Anjum, Talhah Yunus |
Director | Faizan Afzal |
Director Of Photography | Farhan Zahid |
Genre | Hip-Hop (Rap) |
TOP 10 Songs - Lyricsmint Recommends
"Jung Wung" Video
Lyricsmint FAQs & Trivia
Who wrote the lyrics of "Jung Wung" song?
Chen-K, Talha Anjum, and Talhah Yunus have written the lyrics of "Jung Wung". Chen-K is known for writing songs like Ajnabi, Jung Wung, and Jab Tak Main Zinda.
Who is the singer of "Jung Wung" song?
Chen-K, Talha Anjum, and Talhah Yunus have sung the song "Jung Wung". Chen-K is known for singing songs like Ajnabi, Jung Wung, and Jab Tak Main Zinda.
Who directed "Jung Wung" music video?
Faizan Afzal has directed the music video of "Jung Wung".