Saawali Si Raat Lyrics Barfi!

Published: | Updated:
Saawali Si Raat song lyrics from Barfi sung by Arijit Singh: Saanwali Si Raat is sung by talented Arijit Singh the singer who emerged from the Fame Gurukul (2005) where he impressed everyone but didn’t win the title. But the singer-arranger got the good amount of work for Bollywood movies, He sang songs like Raabta, Duaa, Phir Mohabbat, Yaarian Reprise etc. The singer is also assistant of music-director Pritam.

Saawali Si Raat Lyrics

Saawali si raat ho, khamoshi ka saath ho
hmm Saawali si raat ho, khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri
Neend jab ho laapata, udasiyaan zara hata
Khwabon ki razaai mein, raat ho teri meri

hmmm mmm…

Jhilmil taaron si aankhein teri
Khare khare paani ki jheelein bhare
Hardam yun hi tu hansti rahe
Har pal hai dil mein khwahishein
Khamoshi ki loriyaan sun toh raat so gayi

Bin kahe bin sune, baat ho teri meri
Saawali si raat ho Khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri

Barfi ke tukde sa, chanda dekho aadha hai
Dheere dheere chakhna zara
hmm Hansne rulane ka aadha-pauna vaada hai
Kankhi se takna zara
Ye jo lamhe hain lamhon ki behti nadi mein
Haan bheeg loon, haan bheeg loon
Ye jo aankhen hain aankhon ki gumsum zubaan ko
Main seekh loon, haan seekh loon
Ankahee si guftagu, ansuni si justajoo
Bin kahe, bin sune, apni baat ho gayi

Saawali si raat ho khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri

be charming, be loved, be chaalu, be crazy, be happy, be in love be barfi!

Written by:
Swanand Kirkire

Lyricsmint FAQs & Trivia

What movie the "Saawali Si Raat" song is from?

The song "Saawali Si Raat" is from the soundtrack album "Barfi!".

Who wrote the lyrics of "Saawali Si Raat" song?

Swanand Kirkire written the lyrics of "Saawali Si Raat". Swanand Kirkire is known for writing songs like Yeh Fitoor Mera, Aashiyan, and Chaar Kadam.

Who is the singer of "Saawali Si Raat" song?

Arijit Singh has sung the song "Saawali Si Raat". Arijit Singh is known for singing songs like Ae Dil Hai Mushkil (Title Song), Samjhawan, and Kalank (Title Track).