Dil Se Lyrics
Piche mudd ke dekhne ki aadat nahin hai meri
Par kuch baatein hai jo kabhi kabhi
Past mein le jati hai..
Whatsapp par padha tha shayad
Ki hassi ki keemat wohi jaanta hai
Jise dard ka ehsaas hota hai
Mujhe dard ka pehla ehsaas
Bachpan mein hua tha
Ek din pitaji gaye to wapas nahin aaye
Ek khabar aayi jisne meri duniya hi badal di
Musibaton se aadmi ladd leta hai..
Par dard deemak ki taraha
Insaan ko ander se khata rehta hai
Fir mujhe ek rasta mila dard ko bhulane ka
Maine dekha ki apne aansu
Chupane ki sabse achi jagah dosaron ki hansi hai
Dil apna saaf rakho mehnat karte raho
Dekho raste mein kankad bhi aa raha hoga na
Usse aap ni hataoge koyi aur hatake side rakhega
Ki bhai aap gir jaoge dekho mein hata diya
Gali ka joker school ka maskhara amit
Talent pani ki tarah hota hai
Kahin na kahin se beh jane ka raasta khoj hi leta hai
Mujhe toh bas logon ko entertain karna tha
To dubbing karke videos banai
Ab gali aur school ke bahar bhi
Hansi baant kar main khush tha
Video ban huye to nirasha ke haavi hone se theek pehle
Khud acting karne ka plan banaya
Chote bhai ne camera pakda
Aur mere hath aa gayi logon ki nabz
Masti masti mein video bananeka faisla le liya
Aur gaadi chal nikli log hanste the khush hote the
Apni yahin kamayi thi youtube pe naya stage mila
Lekin shakal to dekho iski desi content kahan chalega
Ye koi comedy hoti hai..
Kehne walon ne pata nahin kya kya kaha
Par hum to the besharam bas dil ki suni aur dil ki sunayi
Ek din jaise neend tooti toh dekha ki
Youtube ke aasmaan mein main sabse upar tha
Sab dekh rahe the ye kaha se aa gaya
Aur humare sar par chadd baitha
Bahut logon ki bolti band hui
Aur kuch naye logon ne bolna shuru kar diya
Par mere chahhane wale hamesha nafrat
Karne walon par bhaari pade
1 million par bhi pyaar ne pahunchaya
Aur aaj 20 million par bhi
Yahan tak kaise aaya pata nahin
Aage kahan jana hai pata nahin
Par itna pata hai ki kismat ne mujhe
Dusaron ki zindagi mein khusiyan bikherne ke liye chuna hai
Aur mujhe apne kaam poori imaandari se karna hai
Kabhi haters ki sazis ka shikaar hua
Toh kabhi maut ke muh se wapas aaya
Anjaan log dost ho gaye
Aur kuch dost raah mein choot bhi gaye
Par mujhe to apne aansu logon ki hansi
Ke peeche chupana bachpan se aata hai
Main paani ki tarah aage badh jaunga
Aap hanste raho bas yahi meri jeet hai
Kyon ki mujhe hansi ki keemat pata hai
Baatein bahut saari hai gaane mein bataunga
Aap ka apna Amit Bhadana!
Written by:
"Dil Se" Song Info
Singer | Amit Bhadana |
Lyricist | Amit Bhadana |
Music | Lovepreet Singh |
Music Label | Amit Bhadana |
TOP 10 Songs - Lyricsmint Recommends
"Dil Se" Video
Lyricsmint FAQs & Trivia
Who wrote the lyrics of "Dil Se" song?
Amit Bhadana has written the lyrics of "Dil Se".
Who is the singer of "Dil Se" song?
Amit Bhadana has sung the song "Dil Se".