Urainge Lyrics Ali Zafar

Published: | Updated:
Udenge us aasmaan mein / Urainge Lyrics: Ali Zafar’s beautifully written song giving tribute to the victims of Peshawar school attack.

Urainge Lyrics

Haan thode se bikhre huey hain haare nahi hum
Ye bereham zulmat ki tere maare nahi hum

Haan zinda hain hum chaahe aankhein hai num
Sahenge nahin hum koi sitam
Jahaan ko dikha denge kaun hai hum
Humein maaon ke aansuon ki kasam..

Urainge uss aasmaan mein
Rahenge aise jahaan mein
Jahaan dard ka koi maara na ho
Akela na ho be-sahara na ho
Koi maa se bichhda dulaara na ho
Siva ishq ke koi chara na ho…

Urainge uss aasmaan mein
Rahenge aise jahaan mein..

Khili si wahaan nikli ho dhoop
Nikhra hua har su ho roop
Gum ho jaayein taariqiyaan
Aao chale milkar wahaan

Urainge uss aasmaan mein
Rahenge aise jahaan mein..

Jahaan dard ka koi maara na ho
Akela na ho be-sahara na ho
Koi maa se bichhda dulaara na ho
Siva ishq ke koi chara na ho…

Urainge uss aasmaan mein..
Rahenge aise jahaan mein.. (x2)

Written by:
Ali Zafar

Lyricsmint FAQs & Trivia

Who wrote the lyrics of "Urainge" song?

Ali Zafar has written the lyrics of "Urainge". Ali Zafar is known for writing songs like Jhoom, Voh Dekhnay Mein, and Hamd-o-Naat.

Who is the singer of "Urainge" song?

Ali Zafar has sung the song "Urainge". Ali Zafar is known for singing songs like Jhoom, Balaghal Ula Bi Kamaalihi, and Voh Dekhnay Mein.

Who directed "Urainge" music video?

Abdullah Haris, Bilal Khan has directed the music video of "Urainge".