Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai Lyrics
Haaye tauba tauba yeh jawani
Yeh jawani ka guroor
Ishq ke saamne sar phir bhi jhukana hi pada
Kaisa kehte the na aayenge na aayenge magar
Dil ne is tarah pukara tumhein aana hi pada
Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Woh ik bekaraari jo ab tak idhar thi
Wohi bekaraari udhar kis liye hai
Abhi tak to idhar thi udhar kis liye hai
Kis liye hai haan kis liye hai
Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Behalna na jaane, badalna na jaane
Tamanna machal ke sambhalna na jaane
Haan tamanna machal ke sambhalna na jaane
Behalna na jaane aaha, badalna na jaane
Haye tamanna machal ke sambhalna na jaane
Tamanna machal ke sambhalna na jaane
Ho ho ho behalna na jaane, badalna na jaane
Tamanna machal ke sambhalna na jaane
Haan tamanna machal ke sambhalna na jaane
Kareeb aur aao, kadam to badhao
Jhuka doon na main sar to sar kis liye hai
Jhuka doon na main sar to sar kis liye hai
Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Nazaare bhi dekhe, ishare bhi dekhe
Kayi khoobsurat sahaare bhi dekhe
Haan kayi khoobsurat sahaare bhi dekhe
Nazaare bhi dekhe, ishare bhi dekhe
Kai khoobsurat, haan sahaare bhi dekhe
Naam kya cheez hai, izzat kya hai
Sone chaandi ki hakiqat kya hai
Lakh behlaaye koyi daulat se
Pyaar ke saamne daulat kya hai
Ho ho ho nazaare bhi dekhe, ishare bhi dekhe
Haye kayi khoobsurat sahaare bhi dekhe
Haan kayi khoobsurat sahaare bhi dekhe
Jo maikhane jaake main sagar uthaaoon
To phir yeh nasheeli nazar kis liye hai
To phir yeh nasheeli nazar kis liye hai
Haan yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Tumhi ne sanvara, tumhi ne sajaya
Mere soone dil ko tumhi ne basaya
Haan mere soone dil ko tumhi ne basaya
Tumhi ne sanvara, tumhi ne sajaya
Mere soone dil ko tumhi ne basaya
Jis chaman se bhi tum guzar jao
Har kali par nikhar aa jaaye
Rooth jao to rooth jaaye khuda
Aur jo hans do bahaar aa jaaye
Ho ho ho tumhi ne sanvara, tumhi ne sajaya
Haye mere soone dil ko tumhi ne basaya
Haan mere soone dil ko tumhi ne basaya
Tumhare kadam se hai ghar mein ujala
Agar tum nahin to yeh ghar kis liye hai
Agar tum nahin to yeh ghar kis liye hai
Haan yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Woh ik bekaraari jo ab tak idhar thi
Wohi bekaraari udhar kis liye hai
Wohi bekaraari udhar kis liye hai
ये माना मेरी जान मोहब्बत सज़ा है Lyrics in Hindi
हाये तौबा तौबा ये जवानी
ये जवानी का गुरूर
इश्क के सामने सिर फिर भी झुकाना ही पड़ा
कैसे कहते थे ना आएंगे ना आएंगे मगर
दिल ने इस तरह पुकारा तुम्हें आना ही पड़ा
ये माना मेरी जान मोहब्बत सजा है
ये माना मेरी जान मोहब्बत सजा है
मजा इसमें इतना मगर किस लिए है
मजा इसमें इतना मगर किस लिए है
वो इक बेकरारी जो अब तक इधर थी
वोही बेकरारी उधर किस लिए है
अभी तक तो इधर थी उधर किस लिए है
किस लिए है हाँ किस लिए है
ये माना मेरी जान मोहब्बत सजा है
मजा इसमें इतना मगर किस लिए है
मजा इसमें इतना मगर किस लिए है
बेहलना ना जाने, बदलना ना जाने
तमन्ना मचल के संभालना ना जाने
हाँ तमन्ना मचल के संभालना ना जाने
बेहलना ना जाने आहा, बदलना ना जाने
हाए तमन्ना मचल के संभालना ना जाने
तमन्ना मचल के संभालना ना जाने
हो हो हो बेहलना ना जाने, बदलना ना जाने
तमन्ना मचल के संभालना ना जाने
हाँ तमन्ना मचल के संभालना ना जाने
करीब और आओ, कदम तो बढ़ाओ
झुका दूं ना मैं सर तो सर किस लिए है
झुका दूं ना मैं सर तो सर किस लिए है
ये माना मेरी जान मोहब्बत सजा है
मजा इसमें इतना मगर किस लिए है
मजा इसमें इतना मगर किस लिए है
नज़ारे भी देखे, इशारे भी देखे
कई खूबसूरत सहारे भी देखे
हाँ कई खूबसूरत सहारे भी देखे
नज़ारे भी देखे, इशारे भी देखे
कई खूबसूरत, हाँ सहारे भी देखे
नाम क्या चीज़ है, इज़्ज़त क्या है
सोने चांदी की हकीकत क्या है
लाख बहलाए कोई दौलत से
प्यार के सामने दौलत क्या है
हो हो हो नज़ारे भी देखे, इशारे भी देखे
हाए कई खूबसूरत सहारे भी देखे
हाँ कई खूबसूरत सहारे भी देखे
जो मैखाने जाके मैं सागर उठाऊं
तो फिर ये नशीली नज़र किस लिए है
तो फिर ये नशीली नज़र किस लिए है
हाँ ये माना मेरी जान मोहब्बत सजा है
मजा इसमें इतना मगर किस लिए है
मजा इसमें इतना मगर किस लिए है
तुम्ही ने संवारा, तुम्ही ने सजाया
मेरे सूने दिल को तुम्ही ने बसाया
हाँ मेरे सूने दिल को तुम्ही ने बसाया
तुम्ही ने संवारा, तुम्ही ने सजाया
मेरे सूने दिल को तुम्ही ने बसाया
जिस चमन से भी तुम गुज़र जाओ
हर कली पर निखार आ जाए
रूठ जाओ तो रूठ जाए खुदा
और जो हंस दो बहार आ जाए
हो हो हो तुम्ही ने संवारा, तुम्ही ने सजाया
हाए मेरे सूने दिल को तुम्ही ने बसाया
हाँ मेरे सूने दिल को तुम्ही ने बसाया
तुम्हारे कदम से है घर में उजाला
अगर तुम नहीं तो यह घर किस लिए है
अगर तुम नहीं तो यह घर किस लिए है
हाँ ये माना मेरी जान मोहब्बत सजा है
मजा इसमें इतना मगर किस लिए है
वो इक बेकरारी जो अब तक इधर थी
वोही बेकरारी उधर किस लिए है
वोही बेकरारी उधर किस लिए है
Written by:
"Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai" Song Info
Singer | Mohammed Rafi, Balbir |
Album | Hanste Zakhm(1973) |
Lyricist | Kaifi Azmi |
Music | Madan Mohan |
Director | Chetan Anand |
Cast | Navin Nischol, Priya Rajvansh, Balraj Sahni, Nadira |
Music Label | Saregama |
TOP 10 Songs - Lyricsmint Recommends
"Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai" Video
Lyricsmint FAQs & Trivia
Who wrote the lyrics of "Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai" song?
Kaifi Azmi has written the lyrics of "Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai". Kaifi Azmi is known for writing songs like Milo Na Tum, Tumhari Zulf Ke Saye Mein, and Ja Re Pawaniya Piya Ke Des Ja.
Who is the singer of "Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai" song?
Mohammed Rafi and Balbir have sung the song "Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai". Mohammed Rafi is known for singing songs like Mehbooba, Jab Jab Bahar Aayi, and Hum Intezaar Karenge.
Who directed "Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai" music video?
Chetan Anand has directed the music video of "Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai".
Who has featured in the music video?
The music video of "Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai" features Navin Nischol, Priya Rajvansh, Balraj Sahni, and Nadira.