DESH BHAKTI SONGS – Patriotic Songs | 26 January 2020

Top Desh Bhakti Songs, Patriotic Songs list, a collection by LyricsMINT. Happy Indian Independence Day Songs for 15 August and 26 January. The list has Desh Bhakti Gaane released till 2020.

Desh Bhakti Songs for 26 January 2020: Here is a collection post by LyricsMINT, we are sharing some of the best Patriotic Songs ever made in India. This list given below has patriotic songs along with songs videos. We are also providing you the correct lyrics with all the desh bhakti songs. Celebrate this day of Indian Independence and share these special independence day songs with your friends. Shower some love and respect for your country and those great people who sacrificed their lives for the country and the betterment of its people.

This post features Desh Bhakti Songs till 2020, top 10 desh bhakti songs, Best Hindi Patriotic Songs, Independence Day Songs, 15 August Songs, 26 January Songs, Republic day songs lyrics, Desh Bhakti Gaane, patriotic songs list collection, Lata Mangeshkar Desh Bhakti songs, top 20 desh bhakti gaano ki list.

Patriotic Songs List:


Song TitleMovieSinger/Composer
Jana Gana Mana (Full Anthem – 5 Min)Rabindranath Tagore
Teri MittiKesariB Praak
Ae WatanRaaziShankar Ehsaan Loy
Maa Tujhe SalaamVande Mataram (Album)AR Rahman
Tu Bhoola JiseAirLiftKK
Vande MataramABCD 2Daler Mehndi, Tanishka ..
Aisa Desh Hai MeraVeer ZaaraUdit Narayan, Gurdas Maan
Ye Jo Des Hai TeraSwadesAR Rahman
Ae Mere Watan Ke LogonSingleLata Mangeshkar
Mera Rang De Basanti CholaThe Legend of Bhagat SinghSonu Nigam
Sarfaroshi Ki TamannaThe Legend of Bhagat SinghSonu Nigam, Hariharan
Ae Mere Pyare WatanKabuliwala (1961)Manna Dey
Desh MereThe Legend of Bhagat SinghAR Rahman, Sukhwinder
Tija Tera Rang Tha Main TohChak De! IndiaKrishna Beura, Salim Merchant
Chak De IndiaChak De! IndiaSukhwinder Singh
Watan WalonIndian (2001)Roop Kumar Rathod
kar Chale Hum FidaHaqeeqat (1964)Mohammed Rafi
Apni Azadi Ko HumLeader (1964)Mohammed Rafi
Yeh Desh Hai MeraKhelein Hum Jee Jaan SeySohail Sen


Jana Gana Mann – Full Version (5 Min. Long)

Jana Gana Mana is a five-stanza Brahmo hymn composed and scored in a highly Sanskritized Bengali by Nobel laureate Rabindranath Tagore. Only the first stanza of the song has been adopted as the National Anthem of India.

Lyrics:
Ohoroha Toba Aahbaana Prachaarita,
Suni Tab Udaar Vaani
Hindu Bauddh Shikha Jain,
Parasik Musolman Christaani
Purab Pashchim Aashey
Tab Singhaasana Paashey
Premohaara Hawye Gaanthaa
Jana Gana Oikya Vidhaayak Jaya Hey,
Bhaarat Bhaagya Vidhaataa
Jaya Hey, Jaya Hey, Jaya Hey,
Jaya Jaya Jaya, Jaya Hey

Read Jana Gana Mana 5 Stanzas here

Teri Mitti - Kesari Desh Bhakti Song

Teri Mitti is one of the most amazing patriotic songs / desh bhakti songs ever made in India. The song is wonderfully well written by the Magical Manoj Muntashir and has been composed by Arko and has been sung by Punjabi singer & music director B Praak.

Lyrics:

Aye meri zameen afsoss nahi
Jo tere liye sau dard sahe
Mehfooz rahe teri aan sada
Chaahe jaan meri yeh rahe na rahe

Read Full Lyrics of Teri Mitti here

Ae Watan - A beautiful Patriotic Song

Ae Watan is one of the most amazing patriotic songs ever made which is not particular to any specific country. The song is written beautifully written by Gulzar, composed by Shankar-Ehsaan-Loy and sung by Sunidhi Chauhan.

Lyrics:
Tujhpe koi gham ki aanch aane nahin doon
Kurbaan meri jaan tujhpe, shaad rahe tu
Ae watan, watan mere, aabaad rahe tu

Read Ae Watan Full Lyrics here


Maa Tujhe Salaam – A.R. Rahman Patriotic Song


Vande Matram/Maa Tujhe Salaam A patriotic song by true genius AR Rahman. Beautifully written by Mehboob.

Vande Mataram Lyrics:
Vande Mataram…
Yahaan wahaan saara jahaan dekh liya hai
Kahin bhi bhi tere jaisa koi nahin hai
Assi nahin sau din duniya ghuma hai
Nahi kahin tere jaisa koi nahin

Main gaya jahaan bhi
Bas teri yaad thi
Jo mere saath thi
Mujhko tadpaati rulaati
Sab se pyaari teri soorat
Pyaar hai bas tera pyaar hi
Maa tujhe salaam
Maa tujhe salaam
Amma tujhe salaam

Vande Mataram, Vande Mataram (x3)

Vande maataram…
Vande maataram..
Tere paas hi main aa raha hoon
Apni baahein khol de
Zor se mujhko gale laga le
Mujhko phir woh pyaar de

Maa…
Tu hi zindagi hai
Tu hi meri mohabbat hai
Tere hi pairon mein jannat hai
Tu hi dil
Tu jaan
Amma..
Maa tujhe salaam
Maa tujhe salaam
Amma tujhe salaam, maa tujhe salaam
Vande maataram...

Tu Bhoola Jise – Akshay Kumar's Patriotic song in Airlift



Tu Bhoola Jise is a new patriotic song from Akshay Kumar starrer Airlift which got huge success and love all over India. The song is dedicated to all those people we forget about who work day and night just to protect us.

Tu jeeta raha
Tere liye woh marta raha
Tere dard ki aahat suni
Lo aa gaya, sab chhod ke
Teri raah mein.. lekar khushi..

Woh hai khada har mod pe, sab chhhod ke

Read: Full Lyrics

Vande Mataram – Varun Dhawan Desh Bhakti Song in ABCD 2


Vande Mataram is emotional desh bhakti song starring Varun Dhawan. It is sung by Daler Mehndi, Tanishka Sanghvi, Badshah (Rap) and Divya Kumar. The song is composed by Sachin-Jigar and lyrics are penned by Mayur Puri.

Ek pehchaan meri tu hi
Jind jaan meri tu hi
Jahaan mera Maa..
Tujh pe vaarna
Sau waari jaan main
Tere qurbaan meri Maa
Vande Mataram.. Vande Mataram

Read: Full Lyrics

Aisa Des Hai Mera – Shahrukh Khan's song of Patriotism & Peace!


Aisa Desh Hai Mera a lovely Patriotic song with full of positivity, peace, and joy, The song is sung by Udit Narayan and Punjab di shaan Gurdas Maan. The composition is based on legendary musician Madanmohan’s composition. Lyrics are penned by Javed Akhtar.

Lyrics:

Ambar hethaan dharti vasdi, aithey har rut hansdi ho..
Kinnaa sonaa des hei meraa des hai meraa des hai meraa
Des hai meraa

Dharti sunhari ambar neelaa
Dharti sunhari ambar neelaa
Har mausam rangeelaa
Aisaa des hai meraa ho… Aisa des hai mera
Aisaa des hai meraa ho… Aisa des hai mera

Bole papihaa koyal gaaye
Bole papihaa koyal gaaye
Saavan ghir ghir aaye
Aisa des hai meraa ho.. aisaa des hai mera
Aisa des hai meraa ho.. aisaa des hai mera

Kothe te kaa bole, chitthi mere maahiye di
Vich aaney daa vi naam bole, chitthi mere maahiye di

Genhoo ke kheton mein kanghi jo kare hawaayein
Rang birangi kitni chunariyaan ud ud jaayein
Panghat par panhaaran jab gagri bharne aaye
Madhur madhur taanon mein kahin bansi koi bajaaye

Lo sun lo qadam qadam pe hai mil jaani..
Qadam qadam pe hai mil jaani, Koi prem kahaani
Aisaa des hai meraa ho.. Aisaa des hai meraa
Aisaa des hai meraa haan.. Aisaa des hai meraa

O.. meri jugni de dhaage bagge, jugni os de moonh to fabbe
Jihnu satt ishq di lagge, oye Sai mereya o jugni
Veer mereyaa jugni kahandi hai
O naam saayehen daa leindi hai
O dil kad litaa ee jind meriye…

Baap ke kandhe chadh ke jahaan bachche dekhein mele
Melon mein nat ke tamaashe, kulfi ke chaat ke thele
Kahin milti meethi goli, kahin chooran ki hai pudiya
Bhole bhole bachche hain, jaise guddey aur gudiyaa
Aur inko roz sunaayein daadi naani ho..
Roz sunaaye daadi naani ik pariyon ki kahaani
Aisaa des hai meraa ho.. Aisaa des hai meraa
Aisaa des hai meraa ho.. Aisaa des hai meraa

Sadke sadke jaandi hai mutiyaare ni
Kandaa chubhaa phir pair baanki naarey ni
Oy, ni adiyeh kandaa chubhaa phir pair baanki naarey ni
Kaun kade teraa kaandraa mutiyaare ni
Kaun sahe teri peed baanki naarey ni
Oy, ni adiyeh kaun sahe teri peed baankiiyeh naarey ni

Ho…
Mere des mein mehmaanon ko bhagvaan kahaa jaataa hai
Woh yahin kaa ho jaataa hai, jo kahin se bhi aataa hai
Aa… Tere des ko maine dekha tere des ko maine jaana
Aa… Tere des ko maine dekha tere des ko maine jaana
Jaane kyun ye lagta hai mujhko jaanaa pahchaana

Yahaan bhi vahi shaam hai wahi saveraa
Wahi shaam hai vahi saveraa
Aisaa hi des hai meraa jaisaa des hai teraa
Waisaa des hai teraa haan jaisaa des hai teraa

Aisaa des hai meraa ho.. Jaisaa des hai teraa
Aisaa des hai meraa haan.. Jaisaa des hai meraa


Ye Jo Des Hai Tera Lyrics – Swades Desh Bhakti Song by AR Rahman


Ye Jo Des Hai Tera is a Desh Bhakti song from Shahrukh Khan starrer movie Swades. The song is sung and composed by A.R. Rahman while its lyrics are written by Javed Akhtar.

Lyrics:

Ye jo des hai tera
Swades hai tera
Tujhe hai pukaraa..
Yeh woh bandhan hai jo kabhi toot nahi sakta
Mitti ki hai jo khushboo, tu kaise bhulayega
Tu chaahe kahin jaaye, tu laut ke aayega

Nayi-nayi rahon mein, dabi-dabi aahon mein
Khoye-khoye dil se tere koi yeh kahega
Ye jo des hai tera, swades hai tera
Tujhe hai pukaraa..

Yeh woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
Tujhse zindagi hai yeh keh rahi
Sab to pa liya, ab hai kya kami
Yun to sare sukh hai barse
Par door tu hai apne ghar se

Aa laut chal tu ab deewane
Jahaan koi to tujhe apna maane
Aawaz de tujhe bulaane, wohi des
Yeh jo des hai tera, swades hai tera
Tujhe hai pukaraa..

Yeh woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
Yeh pal hai wohi, jismein hain chhupi
Poori ik sadi, sari zindagi
Tu naa poochh raaste mein kahe
Aaye hain is tarah do-raahe
Tu hi to hai raah jo sujhaaye
Tu hi to hai ab jo yeh bataaye

Jaaye to kis disha mein jaayein, wohi des
Yeh jo des hai tera
Swades hai tera
Tujhe hai pukara..
Yeh woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta

Ae Mere Watan Ke Logon – Lata Mangeshkar Desh bhakti song


Lata Mangeshkar's most famous desh bhakti song "Ae Mere watan ke logon". The song is composed by C. Ramchandra and written by Kavi Pradeep.

Lyrics

Aye mere watan ke logon
Tum khoob laga lo naara
Ye shubh din hai hum sab ka
Lehraa lo tirangaa pyara

Par mat bhoolo seemaa par
Veeron ne hai praan ganwaaye
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Jo laut ke ghar na aaye
Jo laut ke ghar na aaye

Aye mere watan ke logon
Zara aankh mein bhar lo paani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani (x2)

Jab ghaayal huaa Himalaya
Khatre mein padi aazaadi
Jab tak thi saans lade wo
Jab tak thi saans lade wo
Phir apni laash bichhaa di

Sangeen pe dhar kar maatha
So gaye amar balidaani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani

Jab desh mein thi Diwaali
Wo khel rahe the Holi
Jab hum baithe the gharon mein
Wo jhel rahe the goli
Thay dhanya jawaan wo apne
Thi dhanya wo unki jawaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani

Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Gorkha koi Madrasi
Koi Gorkha koi Madrasi
Sarhad pe marane waala
Har veer tha Bharatwasi

Jo khoon gira parvat par
Wo khoon tha Hindustani
Jo shahid huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani
Thi khoon se lath pat kaaya

Phir bhi bandook uthaake
Dus dus ko ek ne maara
Phir gir gaye hosh ganwaa ke

Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain

Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain

Khush rehnaa desh ke pyaaron
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Ab hum to safar karte hain
Ab hum to safar karte hain
Kya log thay wo deewaane
Kya log the wo abhimaani

Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Tum bhool naa jaao unko
Iss liye kahi ye kahaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Jay Hind… Jay Hind ki senaa
Jay Hind… Jay Hind ki senaa
Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind

Mera Rang De Basanti Chola - Mrtyr Bhagat Singh Patriotic Song


An amazing patriotic song, written by Ram Prasad Bismil. The Mrtyr Bhagat Singh song from the movie The Legend Of Bhagat Singh is sung by Sonu Nigam and has got music direction of AR Rahman,

Rang De Basanti Chola Lyrics

Mera rang de...
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maiye rang de

O…
Nikle hai veer jiya le
Yun apna seena taane
Hans hans ke jaan lutane aazad savera laane
Marke kaise jeete hain iss duniya ko batlane
Tere laal chale hai maaye ab teri laaj bachane
Tere laal chale hai maaye ab teri laaj bachane

Azadi ka shola banke khoon rago mein dola
Mera rang de..
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maaye rang de

Din aaj ka bada suhaana mausam bhi bada sunehra
Hum sar pe baandh ke aaye balidaano ka yeh sahera
Betaab humaare dil mein ek masti si chhaayi hai
Aye desh alvida tujhko kehne ki gadhi aayi hai
Mehake gaye teri fiza mein hum banke hawa ka jhonka
Qismat walo ko milta aise marne ka mauka

Nikli hai barat saja hai inquilab ka dola
Mera rang de
Mera rang de
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maaye rang de.

Sarfaroshi Ki Tamanna (Lyrics) - A soulful soft melodious song of patriotism


Here you will listen to A soulful soft melodious song of patriotism from the movie "The Legend of Bhagat Singh". The song is composed by AR Rahman, sung by Sonu Nigam & Hariharan while written by Bismil Azimabadi.

Lyrics :

Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Waqt aane pe bata denge tujhe ae aasmaan
Kya baatein hum junoonein shauq kis manzil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna...

Doriyaan ummeed ki na aaj humse choot jaaye
Milke dekha hai jinhe woh sapne bhi na rooth jaayein
Hausle woh hausle kya jo sitam se toot jaayein
Hausle woh hausle kya jo sitam se toot jaayein

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Tere sone roop ko hum ek nayi bahar denge
Apne hi lahoon se tera rang hum nikhaar denge
Desh mere desh tujhpe zindagi bhi waar denge
Desh mere desh tujhpe zindagi bhi waar denge

Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Khushboo banke mehka karenge hum lehlahti har faslon mein
Saans ban ke hum gun-gunayenge aane wali har naslo mein hum

Aane wali aane wali naslo mein…
Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
Waqt aane pe bata denge tujhe hai aasmaan
Kya baatein hum junoonein shauq kis manzil mein hai

Ae Mere Pyare Watan


A beautiful composition by Salil Chowdhary and nicely sung by Manna Dey, while lyrics were penned by Prem Dhawan.

Lyrics:

Ae mere pyaare watan
Ae mere bichhde chaman
Tujhpe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan

Tere daaman se jo aaye unn hawaaon ko salaam
Tere daaman se jo aaye unn hawaaon ko salaam
Choom lun main us zubaan ko jisape aaye teraa naam
Sabse pyaari subah teri
Sabase rangeen teri shaam
Tujh pe dil qurbaan

Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan
Maa kaa dil banke kabhi seene se lag jaata hai tu
Maa kaa dil banke kabhi seene se lag jaata hai tu
Aur kabhi nanhi si beti ban ke yaad aata hai tuu

Jitna yaad aataa hai mujhko
Utanaa tadpata hai tu
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan

Chhod kar teri zameen ko door aa pahunche hain hum
Chhod kar teri zameen ko door aa pahunche hain hum
Phir bhi hai ye hi tamanna tere zarron ki qasam
Hum jahaan paidaa hue
Us jagah pe hi nikale dum
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan

Desh Mere Desh Mere Lyrics


Desh Mere is from The Legend of Bhagat Singh, sung by AR Rahman & Sukhwinder Singh, composed by AR Rahman while lyrics are penned by Sameer.Desh Mere Lyrics

Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu

Mitaane se nahin mitte
Darane se nahin darte
Watan ke naam pe...
Watan ke naam pe hum sar katane se nahin darrte
Mitane se nahin mitte

Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu

Hazaaron khwab roshan hain
Sulagti si nigaahon mein
Sulagti si nigaahon mein
Kafan hum baandh ke nikle hai azadi ki rahon mein
Kafan hum baandh ke nikle hai azadi ki rahon mein

Nishaane pe jo rehte hai nishaane se nahin darrte
Desh mere desh mere meri jaan hai tu

Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu

Hamari ek manzil hai hamara ek naara hai
Dharm se jaat se zyaada humme yeh mulk pyaara hai
Dharm se jaat se zyaada humme yeh mulk pyaara hai
Hum is pe zindagi apni mittane se nahin darrthe

Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu

Mitaane se nahin mitte darrane se nahin darrte
Watan ke naam pe
Watan ke naam pe hum sar katane se nahin darrte

Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu

Tija (Tiranga) Tera Rang Tha Main Toh - A Sufi song on Patriotism


A Sufi song on Patriotism. Sung by: Krishna Beura | composed by: Salim-Sulaiman | written by: Jaideep Sahni

You might be thinking whether it’s Patriotic song or a Sufi song. Well, actually this song is All about a Man’s love & loyalty for his Nation.

Oh My Nation, I was your part
I lived your way
You were my Lord, my pride
Whatever mine was with you only
Now you can turn away from me if you want
But you will return, I am certain…

Tija = Tiranga

Lyrics

Tija tera rang tha main toh..
Tija tera rang tha main toh..
Jiyaa tere dhang se main toh
Tu hi tha Maula tu hi aan
Maula mere le le meri jaan..

Tere sang kheli Holi, tere sang thi Diwaali
Tere angano ki chhaaya, tere sang sawan aaya
Pher le tu chaahe nazarein, chaahe chura le
Laut ke tu aayega re shart lagaa le
Tija tera rang tha main toh..
Tija tera rang tha main toh..

Jiyaa tere dhang se main toh
Tu hi tha Maula tu hi aan
Maula mere le le meri jaan.. (x2)

Mitti meri bhi bhoori
Wahi mere ghee aur churi
Wahi Ranjhe mere wo heer
Wahi sevaiyan, wahi kheer
Tujhse hi roothna re, tujhe hi manaana
Tera mera naata koi dooja na jaana

Tija tera rang tha main toh..
Tija tera rang tha main toh..
Jiyaa tere dhang se main toh
Tu hi tha Maula tu hi aan
Maula mere le le meri jaan.. (x2)

Chak De India (with Lyrics)


Sung by Sukhwinder Singh, composed by Salim-Sulaiman and written by Jaideep Sahni.

Lyrics:

Kuch kariye, kuch kariye.. nas nas meri khole, haaye kuchh kariye
Kuch kariye, kuch kariye.. bas bas bada bole, ab kuchh kariye
Ho koi toh chal zidd phadiye, doobe tariye ya mariye
Haaye koi toh chal zidd phadiye, doobe tariye ya mariye

Chak de ho chak de India (x4)

No where to run no where to hide
Lets take our time till we drop…
Koochon mein, galiyon mein
Raashan ki phaliyon mein
Bailon mein beejo mein
Geeton mein dijon mein
Reton ke daano mein
Filmon ke gaano mein
Sadko ke gaddon mein
Baaton ke addo mein
Hunkaar aaj bhar le
Das baarah baar kar le

Rehna na yaar pichhe kitna bhi koi khinche
Tas hai na mas hai ji, jid hai toh jid hai ji
Pisna yuun hi pisna yuun hi bas kariye
Koi toh chal zidd phadiye doobe tariye ya mariye
Koi toh chal zidd phadiye doobe tariye ya mariye
Chak de ho chak de India (x4)

Ab kuchh kariye…

Watan Walon Watan Na Bech Dena (with Lyrics) – Indian movie Patriotic Song


The song is from Sunny Deol starrer Indian. The song is composed by Anand Raj Anand, sung by Roop Kumar Rathod & lyrics are penned by Anand Bakshi.

Lyrics:

Watan waalon watan na bech dena
Ki dharti ye gagan na bech dena
Shaheedon ne jaan di hai watan ke waaste
Shaheedon ke kafan na bech dena

Doston saathiyon hum chale
De chale apna dil apni jaan
Taaki jeeta rahe apna Hindustan

Hum jiye hum mare iss watan ke liye
Iss chaman ke liye taaki khilte
Rahe gul hamesha yahaan doston saathiyon

Dosto se milo dosto ki tarah
Dushmano se milo dushmano ki tarah
Jeena kya marna kya buzdilon ki tarah
Keh raha yeh watan yeh zameen aasmaan

Maaon ne apne bete diye
Naujawaan soch kar aur kya
Taaki jeeta rahe apna Hindustan

Maatrabhoomi ka dil tu nahin todna
Desh ke dushmano ko nahin chhodna
Marna jeena tujhe iss watan ke liye
Farz apna nibha de aawan ke liye

Naaz tum pe kare yeh zameen aasmaan
Dete hain yeh dua
Taaki jeeta rahe apna hindustan

Desh ke naam apni jawani likhi
Yeh jawani hai kya zindagani likhi
Bas yahaan tak ki hum ne kahani likhi
Ab likho iske aage ki tum daastan

Ab likho iske aage ki tum daastan
Farz kar do adaa
Taaki jeeta rahe apna Hindustan

Doston saathiyon hum chale
De chale apna dil apni jaan
Taake jeeta rahe apna Hindustan

Kar Chale Hum Fida (with lyrics) – Mohammed Rafi Desh bhakti song


Film: Haqeeqat (1964)
Singer: Mohammed Rafi
Lyrics: Kaifi Azmi
Music: Madan Mohan

Lyrics

Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,

Saans thamti gayi, nabz jamti gayi
Phir bhi badhte kadam ko na rukne diya
Kat gaye sar humaare, toh kuch gham nahin
Sar Himalaya ka humne na jhukne diya
Marte marte raha baankpan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Zinda rehne ke mausam, bahut hai magar
Jaan dene ki rut roz aati nahin
Husn aur ishq dono ko ruswa kare
Woh jawaani jo khoon mein naahati nahin
Aaj dharti bani hai dulhan saathiyon
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Raah qurbaaniyon ki na veeran ho
Tum sajaathe hi rehna naye kaafile
Fateh ka jashn is jashn ke baad hein
Zindagi maut se mil rahi hai gale
Bandlo apne sar se kafan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon..
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Khench do apne khoon se zameen par laqeer
Iss tarah aane ne paaye na raawan koyi
Tod do haath agar haath uthne lage
Chhune paaye na Sita ka daaman koyi
Ram bhi tum, tumhi Lakshman saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon….

Apni Aazadi Ko Hum Hargiz Mita Sakte Nahi – Mohd. Rafi


Film: Leader (1964)
Music Director: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Kar Chale Hum Fida Lyrics:

Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
Humne sadiyon mein ye aazaadi ki nemat paayi hai
Humne ye nemat paayi hai
Saikdon qurbaniyan de kar ye daulat paayi hai
Humne ye daulat paayi hai

Muskura kar khayi hain seeno pe apne goliyaan
Seeno pe apne goliyaan
Itne veerano se guzre hain to ye jannat paayi hai
Khaak mein hum apni izzat ko mila sakte hain
Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Kya chalegi zulm ki ahele wafa ke saamne
Ahele wafa ke saamne

Aa nahin sakta koi shola hawaa ke saamne
Shola hawa ke saamne
Laakh fauje leke aaye aman ka dushman koi
Laakh fauje leke aaye aman ka dushman koi
Ruk nahin sakta hamari ekta ke saamne
Hum wo pathar hain jise dushman hila sakte nahin
Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Vande Mataram…

Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
Sar jhuka sakte nahin
Waqt ki aawaaz ke hum saath chalte jayenge
Hum sath chalte jayenge
Har qadam par zindagi ka rukh badalte jayenge
Hum rukh badalte jayenge
Gar watan mein bhi milega koi gaddar-e-watan
Koi gaddar-e-watan

Apni takat se hum uska sar kuchalte jayenge
Ek dhoka kha chuke hain aur kha sakte nahin
Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Vande matram vande matram vande matram
Hum vatan ke naujawan hain humse jo takrayega
Humse jo takrayega
Wo humari thokaron se khaak mein mil jayega
Khaak mein mil jayega

Waqt ke toofan mein beh jayenge zulm-o-sitam
Aasmaan par ye tiranga umr bhar lehraayega
Umar bhar lehraayega
Jo sabak bapu ne sikhlaya bhula sakte nahin
Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin

Yeh Des Hai Mera (Lyrics & Video)


Movie: Khelein Hum Jee Jaan Sey
Singer: Sohail Sen
Music Director: Sohail Sen
Lyrics: Javed Akhtar

Lyrics:

Yeh des hai mera, yeh des hai mera
Yeh pooch raha hai, kahan hai savera
Ja rahe na rahe tu toh ab yeh kahe
Pujiyaare main dhoondh laaun